Soo-e- Maqtal Nikal Rahey Hain
GUEST BLOG by Muhammed Aqib Asher
The following is a poem on the massacre of Pakistani soldiers by NATO. It is written by Muhammad Aqib Asher, a talented young poet and a patriotic Pakistani.
Soo-e- Maqtal Nikal Rahey Hain
Merey watan ke mohafizo ki
Lahoo main doobi
Katti Phatti si
Vo chand lashey ye poochti hain
Sawaal karti hain
Ayash hukmarano
Zara batao
Ye dosti hai?
Ye dosti hai ke apni ismat hi bech daalo?
Pur taqaddus betiyo ke paak daman
Un ke qadmon main jaa bichaao?
Ye dosti kya dosti hai?
Ke jahan chahey, jab bhi chahey
Vo aatish o aahan ka khel kheley
Chaman main aa ke
Kisi bhi ghunchey se
Us ke jeene ki wajah ley ley
Ye dosti hai?
Suno e arbab e gulistan
Ke agar yun tohfon main laashey de kar
Tum haq e chahat nibhaaa rahey ho
Chaman ke ghunchey jalaa rahey ho
To jaan lo
Ke apni hasti mitaa rahey ho
Baghavaton ke dehaktey laavey
Gali gali ubhal rahey hain
Tumhari yaari tumhen mubarak
Alam utaney ka waqt aan pohancha
Hum apney haathon main tegh le kar
Soo-e- maqtal nikal rahey hain
Soo-e- maqtal nikal rahey hain