Pakistan Zindabad
GUEST BLOG by Nadeem Arif Najmi
Pakistan Zindabaad
Baad qurbaniyon ka jo mila saibaan
Zindabaad
Pakistan Zindabaad
Shaheedon ke lahoo main likhi dastaan
Zindaabaad
Pakistan Zindabaad
Qadar vaali raat ka tohfa
rehmath e ramazaan
Zindabaad
Pakistan Zindabaad
Islam ka qilaa, shaan e musalman
Zindabaad
Pakistan Zindabaad
Iqbal ke khwabon ki takmeel
Quaid ka azeem ehsaan
Zindabaad
Pakistan Zindabaad
Yeh baat teek hai mayoosi hai har suu lekin
Ghabratha nahin musibath main musalman
Zindabaad
Pakistan Zindabaad