Hijr e Faraz Main
GUEST BLOG by Nadeem Arif Najmi
The following moving tribute to Ahmed Faraz saab is posted by Nadeem Arif Najmi. It pays a rich tribute to a legend who lives on, the words do all the talking:
Hijr e Faraz Main
Muhibe-watan kahun ya shaheed-e-wafaa likhun
Tujhe mujahid kahun ya sukhan ka badshah likhun
Teri azmat kaise simte gi is chote kaaghaz par
Kaise apne qalam main bandh kar darya likhun
Tumhari ghazalon ko tazaa havaa ka jhonkha kahun
Tumhari nazmon ko haq o sach ka aaina likhun
Mere har safar ke humsafar ashaar tumhare hain
Isi bais main tujhe dost o humnava likhun
Apne watan ke mazloomon ke saathi
Tujhe main charasaaz kaho, masheeha likhun
Vo mukhtasar gadiyan tumhari qurbut ke
Unhe main apni umr ka sarmaya likhun
Tu amar hai, salaamat hai, zinda hai Faraz
‘Khuda na kare main tera marsiya likhun’